Blog Traffic - Daily 2000 Visitors कैसे पाए ? How To Increase Traffic; technical tadka

Hello friends , aaj mai aapko bataunga ki aap kaise apne blog par daily 2000 visitors paa sakte hai. agar aapke blog ki traffic badhana chahte hai to aap jaldi hi iss tricks se aapko apne blog par bahut visitors aane lagenge.


Use Keywords Research Tool & Get More than 2000 visitors in a day-

apne blog ki traffic (visitors ) kaise increase kare ?

market me bahut se achhe keywords reserch tool uplabdh ho jaane se blogging me saflata paana ab aasan ho gya hai. keywords research tool se aapko maloom chal jata hai ki aap kin keywords ko target karke google se jyada traffic paa sakte hai.


blogging me success paanec ke liye keywords research krna bahut jaruri hai. Blog par search engines se traffic lane me achhe keywords ka selection bahut important roll play karta hai.

aaj aap market me available kuchh Best keywords research tools / software (free & paid) ke bare me janenge, jiska use karke aap blogging me jyada se jyada saflta paa sakte hai.

Agar aap keywords research ke liye free tool use karna chahte hai to Google Keyword Planner sabse achha hai. Google Keyword Planner bilkul FREE online tool hai. 

Google Adwords par apna account create karke iss tool ka use kar sakte hai.

# List Of Top Paid Keyword Research Tools.


1. SEMrush Pro- 30 days Free Trial

SEMRUSH  Best & most popular Keyword research tool hai. iss tool se aap jaan payenge ki aapke compititor blog kis keywords ke liye google me rank ho rahe hai. isase aapko keywords ko target karna easy ho jayega. compition ke hisab se short tail & long tail keywords dono ka best use kar payenge. 

isase aap kuchh important details jaise  Traffic stats, search engine report, Adsense CPC  aur kuchh dusare details jo aapko SEO me kafi help karega.

SEMrush ek paid software hai lekin aap  isko 30 din ke liye free use kar sakte he.


2. long tail pro- 10 day free trial

Yeh  bahut popular long tail keywords research tool hai. isase aap check kar sakte hai ki kis keywords ka kitna compition hai.
isase aap apne blog ke liye most profitable & right keywords use kar payenge. isase aap chek kar sakte hai ki kis keywords ka adsense cpc jyada hai.


3. WordTracker- 30 days free trial 

Wordtracker bhi kafi popular Aur achha keywords research tool hai.
aap chahe to iska 30 days free trial version use kar sakte hai.

inn sabhi keywords tool ka use karne se better hai ki aap kisi ek tool ko keywords research karne ke liye select kare, jisase aapko sabse jyada fayda ho.



Final words -
longtail pro aur SEMrush dono sabse jyada popular keywords research software hai. lekin hindi blogger Ke liye SEMrush Best tool hai. kyoki longtail pro se aapko bahut hi limited hindi ke keywords mil payenge. aap chahe to longtail pro ka trial version use karke dekh sakte hai.

lekin SEMrush se aap jan payenge ki hindi ke top blogs kis keywords ke karan google me rank ho rahe hai. Yani kin Keywords ke wajah se unki traffic jyada hai. uske hisab se aap bhi best & high quality keywords ko target kar payenge. 

sabse pehale aap SEMruch ka 30 din ka trial version use karke dekh ljiye. 
mujhe lagata hai ki hindi bloggers ke liye SEMrush best Paid kewords tool/software hai. 


Tags: blog ki traffic kaise badhaye tips, blog par visitors increase karne ka tarika, Keyword Research kya hai, keywords kaise dhudhe, how to get more traffic on blog in hindi, High quality keywords kaise paye, Keywords Kaisa dhundna chahiye, SEO ke Liye Best best tool / software kaun sa hai,  keywords kaise prapt kare, website ranking increase karne ka tarika, best tips and tricks to increase blog traffic.