Android Phone ko Hard Reset Kaise Kare / how to hard reset an android phone/ एंड्रॉयड फोन हार्ड रीसेट कैसे करे techy tadka



Android phone ki speed jab slow ho jaye ya phone Hang hone lage to samjh jaaye ki ishe hard reset karne ki jarurat hai, Hard reset karte hi phone phir se Factory Mode ki tarah work 
karne lagta hai aur phone ki speed bhi naye smartphone ki tarah ho jati hai.


, agar aap phone ko settings me jakar reset karte hai to phone ka Caches ( saved files) puri tarah se cleare nahi hoga aur phone phir slow ho jayega.
Phone Ko Hard Reset Kyu Karna Chahiye?
Normal reset me phone ka sara data to erase ho jata hai lekin internal storage me hidden security caches file ko ye puri tarah se delete nahi kar pata hai jiske karan baad me yahi caches file dhire dhire restore hota chale jata hai aur phir phone dheema ho jata hai.
Normal reset karne se phone sirf Internal storage aur apps ko clear karta h. RAM ko wo puri tarah se clean nahi karta hai aur isliye phone baad me bhi slow hota hai, Hard reset me aisi problem nahi hoti hai hard reset me phone ka sara Internal Data aur RAM clean ho jata hai.
Agar aapka android smartphone kisi tarah Locked ho gaya hai to hard reset ki madad se aap ise unlock kar sakte hai, agar phone me pattern ke alwa aur koi bhi lock laga hai to use bhi aap iski madad se easily tod sakte hai, ab aapko market me jakar phone lock todwane ke liye 200 rs kharch karne ki jarurat nahi hai ab aap khud se hi Locked android phone ko Unlock kar sakte hai.
Android Phone Ko Fully Reset (Format) Kaise Kare?
Recovery se phone ko format (reset) karne ke 2 tarike hai agar aapke paas Pc hai to use bi aap android phone ko fully reset kar sakte hai, Log jyadatar mobile se work karna pasand karte hai isliye mai aapko smartphone se hi reset karne ke bare me bataunga, Isme jyada steps nahi hai bas 2-4 key press karke aap phone ko reset kar sakte hai.
Step 1. Sabse pahle apne phone ko Switch Off kariye.
Step 2. Ab Power + Volume Up bottom ko ek saath 5 second tak press kariye.
Step 3. Power + Volume Up key press karne par phone on ho jayega aur screen me recovery menu ka Logo dikhega. Jaisa niche diya gaya hai.


Step 4. Jab aisa aapke screen par No command likha aa jaye tab aap Power button ko dabaye, Power button ko dabate hi aapke screen me recovery menu option khulega.





Recovery menu me ab Volume down button dabar niche aaye aur Wipe data/Factory reset option ko Volume Up button dabakar select kaiye.
Step 5. Jaise hi aap Wipe data/factory reset option ko select karenge to ek new screen open hogi aur usme aapko wipe data confirm karne ko kaha jayega tab aap Yes Delete All User Data select karke phone ko Format kar dijiye.





Yes delete all user data confirm karke phone ko reset kare, confirm hone ke baad kuch second me aapke phone ka sara data erase ho jayega aur aapka phone reboot ho jayega, agar phone reboot nahi hota hai to wapas recovery menu me aaiye aur reboot option select kare.
Itna karne ke baad aapka phone fully reset ho jayega aur aapke phone me jitne bhi internal aur external data sabhi delete ho chuke honge, RAM me bhi stored jitne bhi caches file hoga wo sab hard reset se clean ho chuka hoga aur aapka phone phir se naye jaisa work karne lagega.
Note :- Samsung User’s Hard reset karne se pahle apne Playstore or Google Account ka password apne paas rakhe, samsung mobiles ko reset karne ke baad aapko usme apna google account mobile confirm karne ke liye dalna hota hai.
So friends aapko hamari ye jankari kaisi lagi agar aapko hamara is post Android phone reset kaise kare? se related sawal puchna hai to aap hame comment kariye.

       Main aapka dost Adesh kumar is blog par aapka swagat karta hu.
                          Thanks for reading this post